Duniya k kae mumaliq mei internet service ko bunyadi toor par insani haqooq mei shamil kar liya giya hei. Wo kon say mumaliq hein jo internet ko bunyadi insani haqooq na sirf tasleem karty hein baly apny city k rehny walo ko ye sahoolat farahm karty hein.
Finland:
Finland k hakumat nay saal 2010 mei internet ko bunyadi haqooq mei shamil kiya giya aor 5 saal k doran broadband k service k gunjaiesh mei izafa kiya, waha k hr rehny waly ko 1 MB sevice farahm karna intzamiya k zimadari hei.
Costa Rica:
Costa Rika k supreme court nay aik faisla jari kar k internet ko bunyadi haqooq mei shamil kiya. Adalti faislay mei kaha giya tha k information communication har shaks ka bunyadi haaq hei, lehaza hakoomat har rehny waly ko ye sahoolat farahm kary. Adalti faisly k bd kosta reka k awam ko internet bunyadi haqooq k sath farahm kiya jata hei.
Estonia :
Estonia k hakoomat nay saal 2000 mei aik programme start kiya jis k teht pory mulq mei har kisi ko bunyadi haqooq manty hoi internet service farahm k gai, ab waha k har rehny waly ko bunyadi tor par internet farahm kiya jata hei, hakoomat ka manna hei k internet aj k ehm tareen zarooriyat mei say aik hei lehaza har rehny waly tq k is rasai zaroori hei.
France:
France k aala adalat nay internet k farahmi ko bh bunyadi haq tasleem kiya aor hakoomat ko paband kiya k wo tamam rehny walo ko internet k farahmi yaqeeni bnae.
Spain:
Spain mei ye muqarar kiya giya hei k qomi agency telefornia har kisi ko munasib qeemat par broad band khidmat leny k gurantee dey aor wo kam say kam mulq k har shaks ko aik second aik mega byte k speed wali internet sevice farahm karean.
Thursday, 23 January 2020
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search This Blog
Powered by Blogger.
0 comments:
Post a Comment