Washington : Amrica nay Iran ko muzakarat k paishkash kar d, Amrica ka kehna hei k Amrica sajeeda muzakarat ko tayar hei, muzakarat k paishkash ka maqsad Almi aman kharab na hony dena hei.
Tafseelat k mutabiq Amrica nay Iran k sath barhti hoi kasheedgi ko km karny k lia gair mashroot muzakarat par Aamadgi zahir kar d, Aqwam mutahida mei Amrici mandoob keeli karaft k janib say salamti council ko likhy gae khaat mn kha giya k Amrica Iran say sanjeeda muzaqraat ko tayar hei, Qasim sulemani k qatal k karwae apny difa mei k, muzakirat k paishkash ka maqsaad Aalmi aman kharab na hony dena hei.
Khaat mei kha giya mashriqi wasta mei apny ehl-karon, mafadaat k mazeed iqdamat karean gay, agar mustaqbil mn zaroorat pari to Amrici foji aor Assaso k hifazat k lia mazeed karwae bh k jae g.
Dosri janib Iran ki janib say bh aqwam mutahida ko khat likha giya, jis mei Iran nay Amrici Adday par hamlay k lia aqwam mutahida k shaq 51 ka hawala diya, Amrica nay bh shaq 51 ka hawala diya tha.
Aqwam mutahida mn Irani safeer majid rawanchi nay khat mei kaha k Iran kasheedgi chahta hei na jung, operation ehtiyaat say kiya giya, sirf Amrici foji mafadaat ko nishana bnaya giya.
Friday, 10 January 2020
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search This Blog
Powered by Blogger.
0 comments:
Post a Comment