Saturday, 28 September 2019

/


UAE k aik astronaut International Space Station per Phnchnay walay Arab Duniya k Phelay Shaks ban gay han.Is say Phelay Saudia Arabia aur Sham k astronaut Zameen k Madaar mn Phnchay thay, Magar kisi Arab Country say related astronaut international Space station nai gya tha. 


UAE(United Arab Emarate) k astronaut Haza Al-Mansoori wednesday ko Roosi Space Craft k zariay Qazakistaan say Space k liay rawana huay aur 6 hours ki journey k baad Space Station Phnch gay. 35 saal k Al-mansoori k sath Roosi astronaut Oleg Askarpchikwa aur American Research center "NASA" ki aik Lady astronaut Jessica Meer bhi thien. 
 
Dubai k Muhammad bin Rashid Space Center mn logon ki bari Tadad as mission ko dekhnay k liay jama hui aur Space Vehicale k janay per Naaray lagatay huay Al-Mansoori ko National Hero karar day dia. Al-Mansoori International Space Center mn 8 Din Rahaien gay. Unki Wapsi 3 October ko ho gi.
Al-Mansoori ka kehna hai k wo International Space Station mn Apni Namaz ko Jari rakhaien gay. Aur Namaz ki Video bhi jari karien gay. Al-Mansoori k mutabik unko Bohot zayada Height per namaz parhnay ka Experience hai. 

unka kehna hai k jab wo Pilot thay to Plane mn Namaz Parhtay thay. Is Mouqay per Dubai mn World Largest Building "Burj Khalifa" per Lights ki madad say Al-Manssori ki pictures bhi banai gai. Al-Mansoori nay kaha k ye unka Old Dream tha, jo ALLAH pak ab usay Complete kar rahay han.

0 comments:

Post a Comment

Search This Blog

Powered by Blogger.

Popular Posts

BTemplates.com