Istanbul: Turki k bahimat nabeena teerak nay 52 medal jeet kar na qabil yaqeen ko yaqeen mei badl kar sabit kiya k agar himmat aor hosla buland ho to kisi bh manzil taq ponchna mushqil nae hei.
Daily saba k report k mutabiq turki say taluq rakhny waly 41 saal k nabeena shaks nay 6 saal k doran teeraki k mukhtalif muqablon mei hissa ley kar 52 madels apny naam kiye.
Turki k shumaal magrabi soba sakriya k nabeena nojawan fidae zil ka kehna tha k mei nay apny dost k kehny par teeraki start k aor pher isy rozana k bunyaad par swimming k.
Un ka kehna tha k mei nay teeraki ko baqaida shoaby k toor par ikhtiyar karny ka faisla kiya aor pher rozana 40 kilo meter teeraki k taky muqablo mei hissa ley sakon.
Fidae zal nay apny pehly muqably mei record banaya aor pher har saal h aik madel apny naam kiya. Un ka kehna tha k mei nay 15 say 20 days k tarbiyat leny k bd sub say pehly turq swim champion mei hissa liya aor 36.14 seconds mei apny hadaf mei ponnch kar na sirf tamam record tor daly balky pehla ezzaz apny name kiya.
Fidani k mutabiq Eurpion aor world champion ship mei hissa leny ka khuaishmand hn magr basarat say mehroomi k waja say muqablo mei hissa nae ley sakta, meri khuaish hei k olampic games mei bh turki k numaendgi karn.
No jawan say apeal karty hoi un ka kehna tha k apni zindagi mei mutahrik rahyn aor kisi athelet ko apna roal model banyn. Fidae ka kehna tha k meri khuaish h k no jawan ye baat bolean k jab Fidae zaal ye kar sakta hei to hm bh har kaam kar sakty hein.
Thursday, 16 January 2020
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search This Blog
Powered by Blogger.
0 comments:
Post a Comment