Wednesday, 8 January 2020

/

Iran k janoobi magrabi ilaqy mn johari tawanae k planat k qareeb 4-9 shidat ka zalzala aya.

Iran k janoobi magrabi ilaqy bashir mn johare tawanae k planat k qareeb zalzaly k jhatky mehsoos kiye gy hn. Ghair mulki khabr rasan idary k mutabiq zalzaly k shidat 4-9 thi.Ibtadae tafseelat k mutabiq ye zalzala aik qudarti amal tha jis mn kisi dosry mulk ka koi amal dkhal nae.

yaad rhy k guzishta hafty iran k magrabi ilaqy aor afghanistan k sarhad pr 5-8 shidat ka zalzala aya tha jis mn 14 gaon juzvi toor pr mutasir hoy thy.

Ghair mulqi khabr rasan idary k janib sy jari karda report mn wazaht k gai hei k is zalzaly mn koi beeroni taqaat ka hath nae ye aik qudarti amal tha. Wazeh rhy k iran amrica k darmian kasheedgi k halat mn aise koi bh qudarti aafat bh fasaad k shikal ikhtiyar kar skti hy.

Tafseelat k mutabiq Iran k janoobi magrabi ilaqy mn any waly zalzaly k shidat sy is baat ka andaza lgaya giya hei k ye aik qudarti amal tha
Wazeh rhy k iran zalzalo k fault line pr moujood hy jis mn guzishta aik saal mn kafi zalzaly dekhny mn ae hn. Guzishta saal november mn iran k magrabi ilaqy mn 7-3 shidat k zalzaly ny tabahkari macha d thi jis k bd iran ko kafi nuqsan uthana para tha. Is k ilawa 2003 mn iran mn any waly zalzaly ny taqreebn 31000 logon k jaan louat li thi. yaad rhy aj any waly zalzaly mn nuqsaan k tafseelat samny nae ae lekin is baat k tasdeeq kr d gae hy k ye zalzala aik qudarti amal hy jis mn kisi hamsae ya dushman mulq ka koi hath nae. Wazeh rhy k ye zalzala iran k janoobi magrabi ilaqy bashir mn johari tawane k palant k qareeb aya jis k shidat 4-9 record k gai.

0 comments:

Post a Comment

Search This Blog

Powered by Blogger.

Popular Posts

BTemplates.com