Autopini: Romania mei 169 musafiron say bhry tiyary mei hr taraf dhua cha giya,khoof k waja say musafiron k cheakean nikal gai, khush qismati say koi jani nuqsaan nae hoa.
Tafseelat k mutabiq Airline riyan air mei takneeki kharabi k waja say hr taraf dhua pheal giya, jis k waja say piloat nay hangami landing karwae, ye waqea romania k city autopini mei airport mei paish aya jahaz k urran bharny k foran bd h wapis utaar liya giya, dhua kisi jaan lewa viruse say pak tha.
Ghair mulqi khabr rasan idary k mutabiq mazkoora tiyara autopini say london ja ra tha. Riyan air ko pehly k 4 ghanty takheer hoi bd azan somg phailny par jahaz ko chand h minute bd uttar liya giya jis k waja say musafiron ko takhear ka samna karna para.
Musafiron ko dosri airline k zarea london bhyja giya jabky 169 mei say 29 musafiron nay airline par safar karny say h inkaar kar diya. Airline tarjumaan ka kehna tha k jahaz k AC Mei kharabi k waja say hr taraf dhua phail giya.
Maqami media say guftago karty hoi musafiro ka kehna tha k jahaz mei nakis intazamat thy, dhua k sorat mei face mask ka bh bandobast nae kiya giya.
Thursday, 23 January 2020
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search This Blog
Powered by Blogger.
0 comments:
Post a Comment