Burn: European mulq switzerland k science mahirean robotik kabootr tayar kar liya jis mei asli kabootr k paar lagae gay hei.
Bainul aqwami science jaredy mei shaya hony wali report k mutabiq electronic ya robotic kaboootr ko remort say control kiya ja skta hei aor ye asli kabootr jesi parwaz karta hei.
Switzerland k science dano nay kabootr k asli paroon ko electronic technology say aisa jora hei k ye bilqul asli kabootar k bazo lagty hein remort control device k zarea inhean harkat bh d ja skti hei.
Project director ka kehna tha k hamari ye pehli koshish hei hum nay kabootar k parwaz ka kamyaab tajurba bh kiya, is k bd aagy tayar hony waly electronic parindo mei aisa system lagaya ja skta hei jis k zarea wo khud kar tor par fizza mei urrh sakean gay.
In ka kehna tha k aise parindy jis k bazo toot chuky hon, un ko robotik machine k bazo laga kar urny k qabil bh bnaya ja skta hei. Science team k head ka kehna tha k is tajurby mei hmean ye bh maloom ho jae ga k parindy hawa mei musalsal urrny k lia kon c heeran kn taqat istamal karty hein.
Yaad rahy k is say pehly bh science daan drown k tarz par robotik parindy bna chuky hein, jo apni simaat aor raftar tabdeel karny k salayaat rakhty hein, albaata ab taq ka ye wahid rebort hei jo fizza mei khala bazi aor pani mei gota laga kar wapis urrny k salahiyat rakhta hei.
Friday, 24 January 2020
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search This Blog
Powered by Blogger.
0 comments:
Post a Comment