Karachi: Sabiq saddar Pervez Musharraf nay kaha k High court buht acha hei mujhy buht khushi hoi hei,tafseeli faisla any k bd baat karn ga, seht yabi k lia duaen karny par sub ka shukar guzar hon.
Tafseelat k mutabiq Lahore High court k faislay k bd sabiq saddr pervez musharaf nay Daily UNA News say khasoosi guftago karty hoi kaha meri tabbiat behtri k taraf gamzan hei, high court ka faisla buht acha hei mujhy buht khushi hoi hei.
Pervez musharaf ka kehna tha k high court nay Aean aor kanoon k mutabiq faisla diya hei. tafseeli faisla any k bd baat karn ga, seht yabi k lia duain karny par sub ka shukar guzar hon.
Khasoosi adalat nay Aaen shikni case mei sabiq saddr ko saza moat sunae thi, jis k bd pervez musharaf k janib say khasoosi adalat ka faisla challenge kiya tha, darkhwast mei kaha giya tha k article six k teht karwae k lia wafaqi kabeena k manzoori zaroori hei, sabiq wazeer azam nawaz shareef nay exactive ikhtiyarat istamaal karty hoi darkhwast dayar k, is mauamly mei aaeni aoe kanooni taqazy pory nae kiya gay.
Khayal rahy k 17 december ko khasoosi adalat nay aaen shikni case mei mehfooz shidat faisla sunaty hoi sabiq saddr wa sabiq army chief pervez musharaf par aaen k article 6 ko toorny ka jurm sabit hoa hei.
Pervez musharaf nay faisly par amal karty hoi kaha tha k mujhy in logo nay target kiya jo onchy ohdon par faiz aor ikhtyaraat ka galat istamal karty hein, khasoosi adalat k is faisaly ko mashkook smjhta hon aise faislay k misaal nae milti jaha diffa ka moqa nae diya giya, case mei kanoo k bala dasti ka khayal nae rakha giya.
Monday, 13 January 2020
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search This Blog
Powered by Blogger.
0 comments:
Post a Comment