Friday, 24 January 2020

/

Chinies khalai agency nay chand k tareek hisy k tasveer jari k hein, ye wo tasveer hei jo china k shamsi mission  Chaeng 4 nay bhyji hein.

Chinies khalai agency k janib say jari karda in tasaveer par NASA nay mazeed kaam kiya hei aor in ko wazeh banaya hei, Bhyji jany wali tasaveer mei chand ka wo hissa jo soraj say roshani to hasil kar leta hei tahm ye zameen say chuppa rehta hei.

Chini mission Cheang 4 ko guzishta saal january mei launch kiya giya tha. Isy chand k madar mei ponch kar 14 shamsi din ho chuky hein, khayal rahy k chand par guzara giya aik din zameen k 14 dino k barabr hota hei. 

Guzishta saal jab cheang 4 nay chand par qamyaab lending k thi to ye chand k uqbbi aor tareek hissy mei utarny wala duniya ka pehla khalae jahaz tha.

Mission mei mujood khalae gariyan mukhtalif qisam k aalat say less hein jo ilaqy k argiati khasoosiyat janchny k ilawa hayatiyati tajurbaat bh kar rae hein. In k ab bhyjy gai tasaveer ko bonuse qarar diya ja ra hei.

Is k ilawa ye gari chand par moujood is bary garhy ka mutala bh kary g jis k bary mei khayal hei k ye mazi mei kisi zabrdast takrao k nateejy mei wajood mei aaya hei.

Ye khalai gari chand k jis muqam par hei wo zameen say ojhal hei aor is say direct rabta mumkin nae magar is ka rabta zameen say aik satlite k zarea hei.

Posted by  in 

No comments

Edit

0 comments:

Post a Comment

Search This Blog

Powered by Blogger.

Popular Posts

BTemplates.com