Thursday, 23 January 2020

/

Riyaz: Saudi mehkma taleem k janib say faisala kiya giya k ab bacho ko pehli class say angrezi k taleem d jae g, is waqt students ko 4th class say english parhe jati hei.

Tafseelat k mutabiq ye faisla saudi arab k wazeer taleem doctor hamd Aaal shaikh k janib say samny aya. Mehkama taleem nay new nisab par kaam start kar diya, 2 saal bd pehli class say english lazmi qarar dey d jae g.

Maqami media ko interview dety hoi doctor hmd aal shaikh ka kehna tha k bacho ko 4th class say english deny ka plan galat sabit hoa aor is k manfi nateejy samny aen. Isi ko dekhty hoi ab bacho ko pehli class say english k taleem deny par goar kar rhy hn.

Unho nay kaha k 2 saal bd saudi arab k tamam sarkari school mei pehli jamat say english lazmi hogi.

Wazeer taleam ka kehna tha k nisab ka jaiza leny wali committee mamly ko sanjeedgi say dekh rae hei, aor new nisab k tayari par bh kaam jari hei, duniya k tarqqi waqt aor halat par nazar rakhty hoi  new course tayar kiya ja ra hei jis mei thora waqt to lagy ga. Umeed hei positive aor pehly say bhtr result samny aaen gay.

0 comments:

Post a Comment

Search This Blog

Powered by Blogger.

Popular Posts

BTemplates.com