Tuesday, 4 February 2020

/

Lahore: Qamyab jawan programme k teht qarzon k taqseem taiz karny ka faisla taiz kar diya giya, Wazeer azam Imran khan Feburary k pehly hafty mei lahore ka dora karean gay aor jawano mei check taqseem karean gay.

Tafseelat k mutabiq wazeer aala punjab sardar usman buzdar say wazeer azam Imran khan k khasosi bare amoor nojawan usman daar k mulaqat hoi. Mulaqat mei qamyaab jawan programme k teht punjab bhar mei qarz k fori adaegi par mushawraat hoi.

Punjab mei jawano ko 15 din mei qarz k farahimi ka silsala start karny ka faisla kiya giya. Wazeer azam Imran khan khud jawano mei raqam k check taqseem karean gay.

Is maqsaad k lia wazeer azam Imran khan Febraury k pehly hafty mei lahore ka dora karean gay, mulaqat mei wazeer azam k dory aoe schedule ko hatmi shakal dey d gai.

Wazeer aala pujab usman buzdar kahna tha k qamyaab jawan aor hunar mand programme nojawano k lia sonheri moqa hei, mazi mei kisi nay nojawano nay itni bari sarmaya kari nai k. Programme say rozgar mei izafa aor gurbat mei kami a saky g.

Usman daar ka kehna tha k hakumat nay nojawano k lia mulqi tareekh ka sub say ziada baduget mukhtaas kiya, punjab say 8 lakh nojawan qamyaab jawan programme k benar taly aa chuky hein.

Inho nay kaha k hakumati sarparsti mei nojawano k behtrean rehnumae aor tarbiyat dein gay. Wazeer azam k hidayat par qarz k fori taqseem start kar rahy hein. Nojawano ko jald rozgaar k farahmi hakumat k awal tarjeeh hei.

Posted by  in 

No comments

Edit

0 comments:

Post a Comment

Search This Blog

Powered by Blogger.

Popular Posts

BTemplates.com