Raqs performing art k wo shakal hei jisy duniya bhar mei buht pasand kiya jata hei. Kisi bh khitty aor mulq mei raqs , sirf art aor saqafat nahi balky isy aik kisam k ibadat aor rohani sakoon ka zariya samjha jata hei.
Yaha hm pakistan k is mashoor raqas ka taruf paish kar ry hein jisy bubble chaudhry k name say duniya bhar mei pehchan mili.
1919 mei bogra mei aankh kholny wali bubble chaudhry ka asal naam rasheed ahmed chaudhry tha. walid in k police inspector thy.
Kehty hein bachpan say h bubble chaudhry ko fanoon lateefa say lagao ho giya tha. Jald h raqs nay in k tawaju apni taraf khainsh li aor wo is fun mei gehri dilchaspi leny lagy.
Bubble chaudhry k lia school k zamany h mei raqs mehz tafreeh tabah ka zariya aor tamasha nae raha tha balky wo isy baqaida fun k toor par ehmiyat deny lagy thy jisy in k nazar mei baqaida seekhny sikhany aor faroog deny k zaroorat thi.
Inho nay btaya hindustan mei theater k mashoor tanzeem indian peoples therical association say nata joor lia aor is platform say jo beely tarteeb diye in k publicity Amrica aor Europe taq ja ponchi.
Bubble chaudhry nay 1943 mei aik hindu raqasa say shadi k jis nay islam qabool kar liya aor qayam pakistan k bd ye jora pakistan a giya. yaha inho nay mashri aor magrbi pakistan theater aor stage performance d aor khoob churaat hasil k.
Bubble chaudhry aik kahani kaar bh thy aor aik novel k ilawa in k kae kahaniyan bh shaya hoi. Bubble chaudhry surtan k marz mei mubtala thy. 17 may 1945 ko inho nay hamesha k lia apni aakhean bnd kar lyn.
Thursday, 23 January 2020
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search This Blog
Powered by Blogger.
0 comments:
Post a Comment