Aj hm Ibn Battuta k wasatat say saltanut faras k tareekhi qasby sheeraz k aik bazurg say milty hein.
Is mashoor muslim siyah ko nujawani mei mulkon mulkon ghoomny ka moqa mila aor apny waqt k badshaho, bkamalon, mashoor mansab daron, eulmao k khidmat mei hazri ka sharaf hasil hoa. Ibn Battuta nay apny is safar ko apni qabiliaat aor mushahidy k qouat say nihayat khobi say raqam kiya hei.
Is safar namy k aik warq par sheeraz mei ismael bin Muhammad khudadad k ziarat ka ehwal Ibn battuta nay kuch yun raqam kiya hei.
Sheraz jany ka asad yun kiya k mei waha waheed ul shaikh , alqazi ul alam sahib karamat zahira ismaeal bin Muhammad khudadad k ziarat say musharaf yaab hona chahta tha. jab mei apki khidmaat mei hazir hoa to mery sath 3 aor shaks thy.
Hm nay dekha k fuqha aor qasby k bary log apka intazar karty hein. Jab ap namaz asar k lia bahir nikly to apky sath Muhabbudain aor Allaodein ap k dono bhateejy aor sagy bhai rohuddin bh nikly thy.
Mei nay salam kiya to ap nay muanqa farmaya. Pher mera hath pakry hoi apni mslii tq chaly gay. Pher hath chor diya aor ishara kiya k mei namaz ada karon. Sub nay namaz ada k.
Pher ap k samny kitabul msabeah aor sagani k shawaq alanoor parhi gai jis k bd qaza k mitaliq waqiyaat biyan hoi.
Mei nay dekha k is k bd qasby k bary log salam k lia aagy barhy.
Pher ap jesy bazurg bari shafqat farmae aor mjhy bula kar bary halat daryafat farmae aor degar ehwal sona. Mei nay khidmat aali mei sub halat biyan kiye.
Is qasby k tareekh hazaro saal purani hei is nay mukhtaluf adwaar mei qarar o yalgar sabhi kuch dekha.
Friday, 24 January 2020
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Search This Blog
Powered by Blogger.
0 comments:
Post a Comment