Friday, 24 January 2020

/

Moscow: Russia mei aik bili nay apni malikan ko 2 roaz taq kitechen mei qaid kar k jiss beja mei rakha.

Ghair mulqi khabr rasan idary k report k mutabiq billi wesy to aik bey zarar palto aor masoom ka janwer hei lekin agar is par pagalpan ka dora par jae to isky hamly btaty hein wo waqean bili shair k khala hei.

Media reports mei btaya giya k 2 roaz qabal russian rescue hukam nay aik ghar k kitchen say khatoon ko rescue kiya hei jisy us k palto bili nay 2 din say qaid kiya hoa tha.

Khatoon nay rescue hukam ko btaya k wo kitchen mei kaam kar k bahir nikli to palto bili nay in par hamla kiya aor wo wapis kitchen mei chali gai aor jab bh bahir nikalny k koshish karti to billi hamla kar deti.

Ghair mulqi khabar rasan idary ka kehna tha k palto billi k khatrnaak k bayas khatoon 2 din 19 january say 21 january taq kitchen mei qaid rahi hei q k billi musalsal 2 din taq kitchen k bahir pehra deti rahi.

Khatoon tesri manzil par flat mei akeli rehti thi taham in k kitchen k khirki bahir k taraf khulti thi jis k madad say unho nay 21 january ko khirki say muh bahir nikal kar madad k lia awaz d kuch guzarny walo nay rescue hukam ko khabar k.

Ghair mulqi hukam ka kehna tha k jesy h rescue hukam ghar par ponchy to inho nay flat ka darwaza tor kar pehly billi ko kabo kiya pher khatoon ko kitchen sy azad karaya.

Rescue hukam nay billi ko aik pinjary mei bnd kar k khatoon k hawaly kiya aor mashuara diya k in hamlo sy bachny k lia billi ko fori tor par kisi janwaro k doctor say rajoo kary.

Police ka kehna hei mutasra khatoon ko kisi tarha k tibbi imdad k zaroorat nai q k wo bilqul thek hei.

/

Burn: European mulq switzerland k science mahirean robotik kabootr tayar kar liya jis mei asli kabootr k paar lagae gay hei.

Bainul aqwami science jaredy mei shaya hony wali report k mutabiq electronic ya robotic kaboootr ko remort say control kiya ja skta hei aor ye asli kabootr jesi parwaz karta hei.

Switzerland k science dano nay kabootr k asli paroon ko electronic technology say aisa jora hei k ye bilqul asli kabootar k bazo lagty hein remort control device k zarea inhean harkat bh d ja skti hei.

Project director ka kehna tha k hamari ye pehli koshish hei hum nay kabootar k parwaz ka kamyaab tajurba bh kiya, is k bd aagy tayar hony waly electronic parindo mei aisa system lagaya ja skta hei jis k zarea wo khud kar tor par fizza mei urrh sakean gay.

In ka kehna tha k aise parindy jis k bazo toot chuky hon, un ko robotik machine k bazo laga kar urny k qabil bh bnaya ja skta hei. Science team k head ka kehna tha k is tajurby mei hmean ye bh maloom ho jae ga k parindy hawa mei musalsal urrny k lia kon c heeran kn taqat istamal karty hein.

Yaad rahy k is say pehly bh science daan drown k tarz par robotik parindy bna chuky hein, jo apni simaat aor raftar tabdeel karny k salayaat rakhty hein, albaata ab taq ka ye wahid rebort hei jo fizza mei khala bazi aor pani mei gota laga kar wapis urrny k salahiyat rakhta hei.

/

New York: samaji rabty aor micro blogging k website tweat nay facebook k tarz ka feature mutarif kara diya.

Twitter k janib say jari hony wali elameay mei bataya giya hei k ab sarifean ko imogi reactions k sahoolat distayaab hogi, wo kisi bh DM par any wali pegam par imogi bana kar bhyj sakean gay.

Twitter k direct message par jyn waha dil k sath + nazar aa ra hoga, jis par click karny par sarif k samny 7 imogi zahir hon gay, in  mei say jin ka bh intakhab kiya jae ga wo peghaam bhyjny waly k pass ponch jae ga.

Imogies mei Karai(rony waly) LOL(hassny waly) Surprize (heeran karny waly), Heart (dil) Flame (aag ka shaula) Thumb up(pasand aya) Thumb down(Na pasand) shamil hein.

Sub say ehm baat ye h k ab twitter sarif hassny waly imogi k bajae Heary istamal karean gay.

Yaad rhy k is tarha k feature facebook par kafi duration say mutarif karaya ja chuka hei, sarif message ya kisi post par mukhtalif imogies say apni pasand aor na pasand any ka izhaar kar sakty hein.

/

Chinies khalai agency nay chand k tareek hisy k tasveer jari k hein, ye wo tasveer hei jo china k shamsi mission  Chaeng 4 nay bhyji hein.

Chinies khalai agency k janib say jari karda in tasaveer par NASA nay mazeed kaam kiya hei aor in ko wazeh banaya hei, Bhyji jany wali tasaveer mei chand ka wo hissa jo soraj say roshani to hasil kar leta hei tahm ye zameen say chuppa rehta hei.

Chini mission Cheang 4 ko guzishta saal january mei launch kiya giya tha. Isy chand k madar mei ponch kar 14 shamsi din ho chuky hein, khayal rahy k chand par guzara giya aik din zameen k 14 dino k barabr hota hei. 

Guzishta saal jab cheang 4 nay chand par qamyaab lending k thi to ye chand k uqbbi aor tareek hissy mei utarny wala duniya ka pehla khalae jahaz tha.

Mission mei mujood khalae gariyan mukhtalif qisam k aalat say less hein jo ilaqy k argiati khasoosiyat janchny k ilawa hayatiyati tajurbaat bh kar rae hein. In k ab bhyjy gai tasaveer ko bonuse qarar diya ja ra hei.

Is k ilawa ye gari chand par moujood is bary garhy ka mutala bh kary g jis k bary mei khayal hei k ye mazi mei kisi zabrdast takrao k nateejy mei wajood mei aaya hei.

Ye khalai gari chand k jis muqam par hei wo zameen say ojhal hei aor is say direct rabta mumkin nae magar is ka rabta zameen say aik satlite k zarea hei.

/

New Delhi:Bharti riyasat kerala mei dulhan nay dukha say haq mahar mei 100 kitab mang lyn.

Shadi k moqa par dulhan k ghar walo k janib say haq mahar k lia bhari raqam, zeewarat aor jaidaad rakhny ka mutalba kiya jata hei lekin bharti riyasaat kerala mei dulhan nay apny shohar say haq mahar mei kitabean mang kar nae misaal qayam kar d.

Dulha nay dulhan ka haq mahar fori ada kiya aor isy 100 kitabean la k dey dein, kitaboo k sath dulhan k tasveer social media par viral ho gai.

Report k mutabiq dulhan k janib say mangy jani wali kitabon mei Quran pak , Baibal, Geeta k ilawa kai novels shamil hein.

Khatoon k janib say is munfarid haq mahar mangy jany par social media par mukhtalif rae d ja rae hein.

Social media sarif Aarya na likha k ap kerala k rehny walo par bharossa kar sakty hein, wo munfarid heinaor taleem say rugbaat karty hein.

Aik sarif Lateef ka kehna tha k buht say log mjh sy asar haq mahar aor is k ehmiyat k bary mei pochty hein, Islam mei aor is mei kiya shamil ho sakta hei, ye yahan in logo k lia aik umda misal hei.

/

Aj hm Ibn Battuta k wasatat say saltanut faras k tareekhi qasby sheeraz k aik bazurg say milty hein.

Is mashoor muslim siyah ko nujawani mei mulkon mulkon ghoomny ka moqa mila aor apny waqt k badshaho, bkamalon, mashoor mansab daron, eulmao k khidmat mei hazri ka sharaf hasil hoa. Ibn Battuta nay apny is safar ko apni qabiliaat aor mushahidy k qouat say nihayat khobi say raqam kiya hei.

Is safar namy k aik warq par sheeraz mei ismael bin Muhammad khudadad k ziarat ka ehwal Ibn battuta nay kuch yun raqam kiya hei.

Sheraz jany ka asad yun kiya k mei waha waheed ul shaikh , alqazi ul alam sahib karamat zahira ismaeal bin Muhammad khudadad k ziarat say musharaf yaab hona chahta tha. jab mei apki khidmaat mei hazir hoa to mery sath 3 aor shaks thy.

Hm nay dekha k fuqha aor qasby k bary log apka intazar karty hein. Jab ap namaz asar k lia bahir nikly to apky sath Muhabbudain aor Allaodein ap k dono bhateejy aor sagy bhai rohuddin bh nikly thy.

Mei nay salam kiya to ap nay muanqa farmaya. Pher mera hath pakry hoi apni mslii tq chaly gay. Pher hath chor diya aor ishara kiya k mei namaz ada karon. Sub nay namaz ada k.

Pher ap k samny kitabul msabeah aor sagani k shawaq alanoor parhi gai jis k bd qaza k mitaliq waqiyaat biyan hoi.

Mei nay dekha k is k bd qasby k bary log salam k lia aagy barhy.

Pher ap jesy bazurg bari shafqat farmae aor mjhy bula kar bary halat daryafat farmae aor degar ehwal sona. Mei nay khidmat aali mei sub halat biyan kiye.

Is qasby k tareekh hazaro saal purani hei is nay mukhtaluf adwaar mei qarar o yalgar sabhi kuch dekha.

Thursday, 23 January 2020

/

Raqs performing art k wo shakal hei jisy duniya bhar mei buht pasand kiya jata hei. Kisi bh khitty aor mulq mei raqs , sirf art aor saqafat nahi balky isy aik kisam k ibadat aor rohani sakoon ka zariya samjha jata hei.

Yaha hm pakistan k is mashoor raqas ka taruf paish kar ry hein jisy bubble chaudhry k name say duniya bhar mei pehchan mili.

1919 mei bogra mei aankh kholny wali bubble chaudhry ka asal naam rasheed ahmed chaudhry tha. walid in k police inspector thy.

Kehty hein bachpan say h bubble chaudhry ko fanoon lateefa say lagao ho giya tha. Jald h raqs nay in k tawaju apni taraf khainsh li aor wo is fun mei gehri dilchaspi leny lagy.

Bubble chaudhry k lia school k zamany h mei raqs mehz tafreeh tabah ka zariya aor tamasha nae raha tha balky wo isy baqaida fun k toor par ehmiyat deny lagy thy jisy in k nazar mei baqaida seekhny sikhany aor faroog deny k zaroorat thi.

Inho nay btaya hindustan mei theater k mashoor tanzeem indian peoples therical association say nata joor lia aor is platform say jo beely tarteeb diye in k publicity  Amrica aor Europe taq ja ponchi.

Bubble chaudhry nay 1943 mei aik hindu raqasa say shadi k jis nay islam qabool kar liya aor qayam pakistan k bd ye jora pakistan a giya. yaha inho nay mashri aor magrbi pakistan theater aor stage performance d aor khoob churaat hasil k.

Bubble chaudhry aik kahani kaar bh thy aor aik novel k ilawa in k kae kahaniyan bh shaya hoi. Bubble chaudhry surtan k marz mei mubtala thy. 17 may 1945 ko inho nay hamesha k lia apni aakhean bnd kar lyn.

/

Karachi: Ary degital k maqbool darama serial mery pass tum ho mei haniya ka kirdar ada karny wali hira mani nay last episode k raaz say parda utha diya.

Tafseelat k mutabiq Ary degital ka darama serial mery pass tum ho k last episode hafta k raat nachar k jae g lekin dekhny walo ko is k ikhttaam ka besabri say intazar hei, Aiza khan , hira mani, humayun saeed aor adnan sadeeqi nay jandaar adakari nay darama ko 4 chand laga diya hein.

Samaji rabty k website par har koi darama ka ikhttaam apny hisab say bta ra hei lekin ab daramy mei roomi k teacher ka kirdar ada karny wali adakara hira mani nay last episode k hawaly say bta diya.

Instagram par share k jany wali video mei dekha ja skta hei k adakara hira maani k dost in k aakhri episode k bary mei janna chah rae hei lekin wo pehly to inkar karti heiaor kehti hei k is sawal say tang aa chuki hei.

Hira maani bd azan kehti dikhae deti heink darama mei sub maar jyn gay.

Adakara Hira maani nay ye baat apni dost say jaan churrany k lia kahi hei ya waqea mei aisa h hoga ye to aakhri episode dekh k h pata chal saky ga.

Wazeh rahy k 'mery pass tum ho' k aakhri episode pakista k sath sath Dubai k senema gharo mei bh paish k jae g. Pakistan mei senema gharon mei madah pehly h ticket book kara chuky hein. 

/

Duniya k kae mumaliq mei internet service ko bunyadi toor par insani haqooq mei shamil kar liya giya hei. Wo kon say mumaliq hein jo internet ko bunyadi insani haqooq na sirf tasleem karty hein baly apny city k rehny walo ko ye sahoolat farahm karty hein.

Finland:

Finland k hakumat nay saal 2010 mei internet ko bunyadi haqooq mei shamil kiya giya aor 5 saal k doran broadband k service k gunjaiesh mei izafa kiya, waha k hr rehny waly ko 1 MB sevice farahm karna intzamiya k zimadari hei.

Costa Rica:

Costa Rika k supreme court nay aik faisla jari kar k internet ko bunyadi haqooq mei shamil kiya. Adalti faislay mei kaha giya tha k information communication har shaks ka bunyadi haaq hei, lehaza hakoomat har rehny waly ko ye sahoolat farahm kary. Adalti faisly k bd kosta reka k awam ko internet bunyadi haqooq k sath farahm kiya jata hei.

Estonia :

Estonia k hakoomat nay saal 2000 mei aik programme start kiya jis k teht pory mulq mei har kisi ko bunyadi haqooq manty hoi internet service farahm k gai, ab waha k har rehny waly ko bunyadi tor par internet farahm kiya jata hei, hakoomat ka manna hei k internet aj k ehm tareen zarooriyat mei say aik hei lehaza har rehny waly tq k is rasai zaroori hei.

France:

France k aala adalat nay internet k farahmi ko bh bunyadi haq tasleem kiya aor hakoomat ko paband kiya k wo tamam rehny walo ko internet k farahmi yaqeeni bnae.

Spain:

Spain mei ye muqarar kiya giya hei k qomi agency telefornia har kisi ko munasib qeemat par broad band khidmat leny k gurantee dey aor wo kam say kam mulq k har shaks ko aik second aik mega byte k speed wali internet sevice farahm karean.

/

Kolkata: Bharti riyasat kolkata mei yyoung larki nay maa k dant say dil bardashta ho kar khud kushi kar li.

Ghair mulqi khabar rasan idary k report k mutabiq bharti riyasat kolkata k ilaqy regent park mei larki say walida ka phone gir ka kharab ho giya jis k waja say walida nay usy danta to larki nay apni zindagi ka khatma kar liya.

Khud khushi karny wali k omer 16 saal btae gai hei jabky wo agly monthe imtehanaat mei shirkat karny wali thi, 2 din qabal hospita ley jaty hoi rasty mei h daam tor gai.

Police ka kehna hei k monday k duphar jab larki bahir gai to walida ka mobie phone sath ley gai lekin ghar lottay waqt galti sy phone road par gir kar kharab ho giya tha.

Parosii nay police ko btaya k is nay apny walid ko dousry mobile phone k lia kha lekin phone ko nuqsaan ponhny par usy danta giya, jab wo ghar ponchi to walida nay is ko parhae par tawaju deny k bjae mobile phone k sath waqt guzarny par dant diya. 

Kuch dair bd wo kamry mei latki hoi paii gai, ghar waly hospital ley ja rhy thy k larki nay rasty mei h dmm toor diya.

/

Autopini: Romania mei 169 musafiron say bhry tiyary mei hr taraf dhua cha giya,khoof k waja say musafiron k cheakean nikal gai, khush qismati say koi jani nuqsaan nae hoa.

Tafseelat k mutabiq Airline riyan air mei takneeki kharabi k waja say hr taraf dhua pheal giya, jis k waja say piloat nay hangami landing karwae, ye waqea romania k city autopini mei airport mei paish aya jahaz k urran bharny k foran bd h wapis utaar liya giya, dhua kisi jaan lewa viruse say pak tha.

Ghair mulqi khabr rasan idary k mutabiq mazkoora tiyara autopini say london ja ra tha. Riyan air ko pehly k 4 ghanty takheer hoi bd azan somg phailny par jahaz ko chand h minute bd uttar liya giya jis k waja say musafiron ko takhear ka samna karna para.

Musafiron ko dosri airline k zarea london bhyja giya jabky 169 mei say 29 musafiron nay airline par safar karny say h inkaar kar diya. Airline tarjumaan ka kehna tha k jahaz k AC Mei kharabi k waja say hr taraf dhua phail giya.

Maqami media say guftago karty hoi musafiro ka kehna tha k jahaz mei nakis intazamat thy, dhua k sorat mei face mask ka bh bandobast nae kiya giya.

/

Rajihstaan: Bharti riyasat rajihstaan k rehny waly shaks k yaha say dousry bety  wiladaat hoi jis par baap nay peda hony waly bachy ka naam Congress rakh diya.

Ghair mulqi khabar rasan idary k mutabiq wazeer aala rijihstaan k office mei media officer k hasiyat say khidmaat anjaam deny waly wanood jean nay apny peda hony bachy ka naam congress rakh diya.

wanood jean k ghar walo ka kehna hei k hamari support congress k sath hoti hei, aor wanood chahta hei k is k any wali nassal in k naqsh qadam par chaly.

Wanood jean ka kehna hei k bety k pedaish july mei hoi thi aor iska certificate hasil karny mei mjhy buht maheeny lagy.

Report k mutabiq july 2019 mei wanood k haan dousry bachy k pedaish hoi is say pehy 18 saal qabal in k han pehly beeti k pedaish hoi thi.

Yaad rahy k guzaishta saal june mei Indonesia k janoob magrib mei muqeem family nay apny peda hony waly bachy ka naam goggle rakhty hoi isy qanooni toor par rejistered karwa lia tha.

/

Newyork: Amrici actor jenifar ka kehna hei k inho nay islam nai balky islam nay mjjy chuna hei.

British khabr rasan idary ko diye gai interview mei amrici actor jenifer nay kaha k apni awaz kisi tareeqy say bh istamal karna naymat hei aor Quran pak tilawat aik intehae khas cheaz hei.

Amrici actor nay tilawat k bary mei baat karty hoi kaha k ye aik intehae be-misaal cheaz hei q k aalat musiqi k ilawa ye koi nae cheaz nai balky ap k andr say aa rae hei.

unho nay kaha k islam say pehly in ka kisi mazhab k janib rujhaan nae tha, wo kehti hei k mjhy aisa lagta hei k mei nay islam ko nae balky islam nay mjjy muntakhib kiya hei.

Jenifer na bataya k haal h mei unho nay Quran ko samjhny k lia aik ustad k khidmaat hasil k hein, is say qabal wo ziada tar tilawat sn kar is k naqal kar kar rae thi.

Unho nay kaha k meri family mei buht say gaany waly thy, bachpan mei h piyano bjana sekha aor pher gaana sekh kar gaany k taleem hasil k, meri graduation magrabi classic songs jesy k opra mei hei bd mei pher tarhab mosiqe mei dilchaspi barhny lagi jo k classic Arabic mosiqe thi.

Wazh rahy k janefir k Quran pak k tilawat k videos maqbool thi, Jenifer nay 6 saal qabal Arab duniya k sab say bary musical show Arab gaat talent mei Arabic ga kar sub ko heran kar diya tha.

/

Bacho k ibtaae harkatean hamesha say khushgawar yadean bn jati hein jesy pehli baar chalna, bolna ya jesy kuch thoss giza lena wagera.

Ye haseen lamhaat walidean zindagi bhr ydd rkhty hein aor barhti omer k sath bachoo ko khushi khushi bta kar mazi k achi yadon ka lutf uthaty hein.

Waisy to bacho k dilchasp waqeyat k videos aae din viral hoti hei jis mei bacho k sharartean aor in k zihanat dekh kar bary bary dang reh jaty hein.

Aise h aik video social media par viral hoi hei jis bachi pehli baar ice cream is qadar pasand ati hei k wo isy apni taraf kheach leti hei aor forn pori ice cream mei muh mei dalny k koshish karti hei.

is manzr ko dekh kar walidean zor zor say hans party hein aor ice cream ko bachi k rehm karam par chor dety hain.

Is video ko tiktok par 4 lack log like aor 4000 hazar log comment kar chuky hei, tiktok k ilawa twitter par 40 lack say ziada baar is video ko dekha giya hei.

/

Riyaz: Saudi mehkma taleem k janib say faisala kiya giya k ab bacho ko pehli class say angrezi k taleem d jae g, is waqt students ko 4th class say english parhe jati hei.

Tafseelat k mutabiq ye faisla saudi arab k wazeer taleem doctor hamd Aaal shaikh k janib say samny aya. Mehkama taleem nay new nisab par kaam start kar diya, 2 saal bd pehli class say english lazmi qarar dey d jae g.

Maqami media ko interview dety hoi doctor hmd aal shaikh ka kehna tha k bacho ko 4th class say english deny ka plan galat sabit hoa aor is k manfi nateejy samny aen. Isi ko dekhty hoi ab bacho ko pehli class say english k taleem deny par goar kar rhy hn.

Unho nay kaha k 2 saal bd saudi arab k tamam sarkari school mei pehli jamat say english lazmi hogi.

Wazeer taleam ka kehna tha k nisab ka jaiza leny wali committee mamly ko sanjeedgi say dekh rae hei, aor new nisab k tayari par bh kaam jari hei, duniya k tarqqi waqt aor halat par nazar rakhty hoi  new course tayar kiya ja ra hei jis mei thora waqt to lagy ga. Umeed hei positive aor pehly say bhtr result samny aaen gay.

Monday, 20 January 2020

/

New Delhi: India gair mulki afrad k lia Asia ka khatrnaak mulq bn giya, Bainulaqwami tanzeem k servey k mutabiq India mei gair mulqion ko jinsi harasan aoe security ka tahfuz sub say ziada hei.

Tafseelat k mutabiq Aalmi idaroon nay india ko rehny k lia khatrnaak mulq qarar dey diya hei, is hawaly say aalmi idary ispectator index nay 2019 k khatar naak mumalik k fehrist jari k hei.

Fehrist k mutabiq Barazil pehly, Afiqa dosry aor Naijeria teasry number par hei, is k ilawa Espectator index k fehrist mei India fifth number par hei jaha logo ko rehny k lia khatraat la samna rehta hei.

Espectator index k fehrist mei Bartania 12 aor Amrica 16 number per hei. Insani haqooq, awam k istehsaal, bacho aor khawateen say ziadti k waqiyat index ka hissa hei.

Haqooq gazab karna, azadi izhaar par pabandi aor bunyadi haqooq say mehroom rakhna bh is mei shamil hei, report mei kaha giya hei h k Indian hakimat nay maqbooza kashmir mei gazbana qanoon nafiz aor bd tareen lock down jari rakha hei.

/

Ap nay hores aoe camels ko raqs karty dekha hoga lekin ab aisa reach bh maznir aam par aya hei jo na sirf raqs balky daikhny walo ko bh khoob tafreeh farahm karta hei.

Tafseelat k mutabiq Boseena k aik park mei raqs katy aik reach nay daikhny walo ko heerat mei daal diya. Dance karny waly bhalo k video viral ho gai, video mei dekha ja skta hei k janwar khush gawar mood mei apna jism hilla ra hei jabky ird gird bachy aor walidean mehfooz ho rahy hn.

Ghair mulqi media ka kehna hei k is reach ko khasoosi toor par dance sikhaya giya hei jabky shehrion say milny julny k sath sath inhean tafreeh farahm karny k bh training d gai hei. Khayal rahy k aksar bhalo insaano ko dekh kar apni rah badal lety hein jabky kae ilaqo mei bhalo k insano par hamly bh record kiye gae hein.

Wazeh rahy k brown nasal k bhalo 25 say 30 saal k hayat paty hein, tahm Europe mei janwaro k gizae qilaat k baies in k umar 6 say 7 saal taq h mehdood reh gai hei.

/

England mei school k sath trip par jany wala 6 saal k bacha la-pta ho giya, tahm 9 ghanty k talash k bd police nay bachy ko hifazat say dhoondh nikala.

Ye waqia England k qasby milton kenanz mei paish aya jaha aik maqami school apny students ko museums k sair karwany ley giya. wapsi mei school bus aik station par ruki taky students washroom istamal kar sakean aor yahi Adil umair name k 6 saal bacha la-pata ho giya.

Larky k gumshadgi ka ilam hoa to razakaro aor maqami afrad k bari tadad bachy ko dhoondny nikl pari, Police nay bh apni koshish jari rkhean aor is doran bachy k talashi k lia helicoptor ka bh istamal kiya giya.

9 ghanty k bd bacha aik road k kinary betha hoa mil giya ye jaga service station say kuch nisf meal dor thi.

Bachy sardi say akra hoa betha tha, isy fori tor par hospital ley jaya giya tahm doctors nay isy bilqul tandarust qarar dey diya.

Bachy k  mill jany k bd bachy k ghar walo nay sakoon ka saans liya. Talashi k is amal mei police aor baqi afrad k sath taqreebn 1 hazar logo nay hissa liya.

Bachy k walid ka kehna tha k wo apny bachy k ba-hifazat mill jany par buht happy hain aor ALLAH ka shukar ada karty hain, inho nay bachy ko talash karny waly tamam afrad ka buht shukriya ada kiya.

/

Masko: Russian Adalat nay kamsin beti ko qatal karny k jurm mei maa 13 saal qaid k saza sona d, dosheeza beeti ko ghar mei akela chor kar aik hafty taq russia mei party kar rae thi.

Ghair mulqi khabar rasan idary k report k mutabiq russsian adalat nay 21 sala maria plankina ko 12 saal qaid k saza sonae hei, jo apni 13 3 saal k beeti ko ghar mei akela chor kr khud 500 meal doar Moscow party karny chali gai thi.

Adalti dastavaiz mei bataya giya hei k dosheza apni beeti karsteena ko apartment mei tanha chor kar aik hafty k lia apni dost k sath chali gai thi, apartment mei bijli thi na pani aor khana bh buht thora sa tha.

Tafsheesh karo ka kehna tha k maria nay doran tafsheesh ehtaraf tha k is nay jan booj kar apartment ka darwaza band kiya tha aor ghar say nikalny say qabal pani bh bnd na kar diya tha.

Aik report mei bataya giya k dosheza nay apny doston k sath acha time guzar rae thi aor azadi say rang raliyan mana rae thi.

Police ka kehna tha k bachi apartment k thandy kamry say murda halat mei nangi mili thi jis k death bhooky rehny k waja say hoi thi.

Adalat ko bataya giya bachi itni ziada bhooki thi k us nay kapry dhoony wala powder bh kha lia tha.

Judge ka kehna tha k khatoon nay pani band kar diya aor apartment mei bijli  bh nae thi.

Adalat nay maria ko choti age k bachi k death k dafat lagaty hoi 13 saal qaid k saza sona d.

Ghair mulqi khabar rasa idary ka kehna tha k bachi ko murda halat mei is k nani nay dekha jb wo apni nawasi k dousri birhday ka gigt ley k apartment ponchi thi.

/

Sidni: Australian junglat mei hony wali Aatishzadgi k baies apny maa baap ko khony waly Kangaroo k tasver viral ho gai.

Tafseelat k mutaiq  Australia mei lagny wali aag say jaha aik Arab say ziada janwar halak ho gay wahi Kangroo bh moujood hei jo apny walidain gawa chuka, aise mei wo apna gmm insan ko smjha to nae sakta lekin social media par uski aik aise tasveer zaroor viral hoi heijisy dekh kar is k gmm ka andaza hota hei.

Social media par viral hony wali tasveer mei dekha ja sakta heik wo kangaroo apni goad mei khilona tedi bear ko lea hoi hei aor isy zoor say bosa dey ra hei.

Tasveer dekh kar ye ehsaas hota heik mazkoora kangaroo k maa baap is duniya mei nae rahy aor wo unhean buht yaad kar ra hei.

Tasmaiya senetar petroash wilston aor gareen k advisior tum beshera nay samaji rabty k website twitter par aik tasveer shaya k jo daikhty h daikhty social media par viral hoi.

Is tasveer k wazaht dety hoi unho nay btaya k in k jungli hayat k daikh bhaal karny wali in k walida unhean new sawath walis k shumali rever khitty say lai hein, Beshara ye bh dekh k heeran reh gain k in k ye tasveer in k tawquaat say ziada mashoor hoi.

In ka kehna tha k mei nay socha k ye tasveer Australia mei share ho rae hei lekin ye dekh kar heeran reh giya k is nay khatt aoshanaya say nikal kar Europe aor janoobi Amrica mei bh shuraat paa li hei jabky amrica k kuch morning shows mei bh is tasveer ko On air kiya giya.

Saturday, 18 January 2020

/

Bread ford: Bartanwi shehzadi kate midalton bh pakistani faloody k dildada niklean, shehzadi nay bary shoaq say pakistani falood khaya.

Tafseelat k mutabiq shahzada willium aor shehzadi kate midalton nay bread ford mei waqea pakistani resturent ka dora kiya, is moqa par waha mojood  shehrion nay in ka partappak istaqbaal kiya aor guldasta paish kiya.

Resturent mei shahi jory nay amly k madad sy khud falooda tayar kiya aor bary shoaq say khaya, is doran istaaf inhean muqamaal maloomat farahm karta raha.

Resturent mei shahi jory say bokser Amir khan nay mulaqat k aor in k aamad ka shukriya ada kiya, shahi jory nay khushgawar mood mei waha mojood logon mei ghul mill gae jab k pakistani kitchen k staff say mulaqat bh k.

/

India k aik gaon mei bandron k bharmaar nay gaon walo ko hijrat par majboor kar diya. Ye bandr fasloon ko tabah kar rhy rhy jabky gharon nei ghuss kar saman bh utha ley jaty thy.

Bharti gaon Naras pur say ab tq 20 say ziada khandaan hijrat kar k ja chuky hein, waja is gaon mei bandron k bharmaar hei jin k tadaad andazn 400 hei.

Ye bndr fasloon ko tabah kar k kisano ko mali nuqsaan poncha rhy thy jabky gharon mei bh ghuss jaty jaha say wo mukhtalif saman utha kar bhaag jaty thy.

Tahm ab gaon k sarpanch nay gaon walo k mushqil hal karny k lia in bandron ko pakrnay k lia aik team bula li hei jinhean 1500 rupees diye jain gay. Is team nay ab taq 100 bndr pakar kar ghissny jungle mei chor diye hein jahan sy wo wapis na aa skaen.

Sarpanch ka kehna h k in bndro nay gharon aor faslon par tabahi macha d thi aor is waja say kisan buht preshan thy.

In mei say kuch kisan aise thy jinhean sirf aik h qisam k fasal ugany par muharat hasil thi aor in k wo wahid fasal bh bandron k hathoon tabah ho jati thi, kisan preshan ho k yaha say jany lagy thy.

Tahm ab jb kisano ko ilm hoa k aahista  aahista bandron ka khatma ho ra hei to wo apny gharon ko wapis aa rhy hein.

/

Neend k sada tareef ye ho skti hei k hm aik aise halat mei chaly jaty hn jo idhr udhr say bekhabar kar deti hei.

Insan aik h jaga apny jism ko aaram deny k garz say chand ghantoo tq leta rehta heiaor is dooran baat karny aor dekhny k zaroorat mehsoos nae karta magr harkat karta aor sans leta hei. Amoomn neend ya istaraht k lia hm koi tayri nae karty aor ye hamary mamoolat mei shamil hei.

Ye sub h janty hein k neend jismani aor dimagi seht k lia zaroori hei, magr seht mand aor chak o chuband rehny k lia achi neend ana yani waqt par aor tasalsul k sath sona zaroori hei. Kae log be-khuabi ya neend k doran khalal waqea hony k waja say preshan rehty hn jis k mukhtalif waja ho skti hein. In mei zehni preshani uljhan aor kisi fikar mei dooby rehna bh shamil hei.

Neend k doran hamara dimag kaam karta rehta hei jub k jism dheela par jata hei aor is ka darja hararat gir jata hei.

Kisi bh insan k lia kitni neend zaroori ho sakti hei? Is hawaly say mahirean nay age ko bunyaad bnaya hei. In k tehqeeq btati hei k choty bachy din mei taqreebn 17 ghanty so sakty hein. In say bari age k bachy din mei taqreebn din mei 9 say 10 ghanty soty hein jabky balig afrad k aksriyat raat ko 7 ya 8 ghanty neend k zaroorat mehsoos karti hei. Tahm baaz log is say km waqt mei bh jagty jaty hein aor kisi qism k shikayat mehsoos nae karty.

Mahirean k mutabiq makhsoos doranie say km neend bh seht k lia achi nae. Aise afrad thakan aor bechani mehsoos karty hein aor chir chary ho jaty hein.

Thursday, 16 January 2020

/

New York: Hollywood film captian amrica mei kirdar ada karny wali adakara molae fitz geerald nay apni maa ko qatal karny ka ehtraf kar liya.

Amrici media report k mutabiq adakara nay kansaas city guzishta month apni maa ko ghar mei churri k waar say qatal kiya aor pher is baat k itlaa police help linee par khud h dy d.

Adakara nay budh k rooz adalat mei ehtraf kiya k us nay apni maa ko churii k war say qatal kiya q k maa hath mei churii ley k usy qatal karny aa rae thi. Maqtoola k post mordam k report mei is baat k koi shawahid nae mily k adakara nay un ko apni difah mi qatal kiya h.

Police nay qatal case k tehqeeqat k roshni mei adakara ko giraftar kar k muqadma darj kar liya aor pher inhean adalat mei paish kiya jaha unho nay apny jurm ka ehtraf kiya. Adalat nay 38 sala adakara ko nafsiyati marz bhyjny aor unka dimagi ilaj karwany ka faisla sunaya. Judge nay remarks diye k ye dosry darjy ka qatal hei jis k samat ilaj k bd start k jae g.

Tafshehe afsar nay adalat ko btaya k maqtoola k age 68 saal thi, police us rooz jb ponchi to lash k sath churri bh pari thi. Police hukam k mutabiq mulzama nay btaya k wo apny kamry mei bethi hoi thi k walida churii ley k qatal k irady say is k qareeb ayn jis par adakara nay unhean pistol dikha kar roka aor pher dhkka dey kar zameen par gira diya, is k bd usi churri ko chean kar kae waaar kiye.

Inho nay adalat mei jama karae gae ehtrafi biyan mei btaya k khud la difah karny k dooran mjhy bh kae choaten ayn agar mei apni walida ko chor deti to wo moqa milty h mjhy maar deti q k unho nay hata pae k doran meri gardan par bh zoor say kata.

yaad rhy k adakara molae fitz geerald nay caption amrica , the first avenger mei kirdar ada kar chuki hein.

/

Istanbul:  Turki k bahimat nabeena teerak nay 52 medal jeet kar na qabil yaqeen ko yaqeen mei badl kar sabit kiya k agar himmat aor hosla buland ho to kisi bh manzil taq ponchna mushqil nae hei.

Daily saba k report k mutabiq turki say taluq rakhny waly 41 saal k nabeena shaks nay 6 saal k doran teeraki k mukhtalif muqablon mei hissa ley kar 52 madels apny naam kiye.

Turki k shumaal magrabi soba sakriya k nabeena nojawan fidae zil ka kehna tha k mei nay apny dost k kehny par teeraki start k aor pher isy rozana k bunyaad par swimming k.

Un ka kehna tha k mei nay teeraki ko baqaida shoaby k toor par ikhtiyar karny ka faisla kiya aor pher rozana 40 kilo meter teeraki k taky muqablo mei hissa ley sakon.

Fidae zal nay apny pehly muqably mei record banaya aor pher har saal h aik madel apny naam kiya. Un ka kehna tha k mei nay 15 say 20 days k tarbiyat leny k bd sub say pehly turq swim champion mei hissa liya aor 36.14 seconds mei apny hadaf mei ponnch kar na sirf tamam record tor daly balky pehla ezzaz apny name kiya.

Fidani k mutabiq Eurpion aor world champion ship mei hissa leny ka khuaishmand hn magr basarat say mehroomi k waja say muqablo mei hissa nae ley sakta, meri khuaish hei k olampic games mei bh turki k numaendgi karn.

No jawan say apeal karty hoi un ka kehna tha k apni zindagi mei mutahrik rahyn aor kisi athelet ko apna roal model banyn. Fidae ka kehna tha k meri khuaish h k no jawan ye baat bolean k jab Fidae zaal ye kar sakta hei to hm bh har kaam kar sakty hein.

/

Dubai: ICC award 2019 ka meela baharat aor Australian khilarion nay loot liya fehrist mei koi pakistani khilari shamil nae tahm Babar azam ko ICC One day team of the air mei shamil kar liya giya.

Tafseelat k mutabiq ICC nay 2019 k behtreen khilarion aor team ka elan kar diya, pakistani star Bastmean Babr Azam One day team of the air mei shamil hein, test mei koi pakistani khilari jaga nae bana saka.

England ko aalmi cup jeetwany waly ben istoks saal ka sub say bara award ley ury, bean istoks ko geeri sober trofi d gai.

Wednesday, 15 January 2020

/

Smart phone aor computer par khaily jany waly maroof game PUBG k intazamia nay nae maps mutarif karany k tayari start kar d.

PUBG intazamia k janib say twitter aor facebook page par tasaweer share k gai jo darasal design kiye gae nae maps k hain, twitter aor facebook par tasaweer share karty hoi caption likha giya h k taiz aor khamosh magr taizi say jaan lewa.

PUBG par nazr rakhny waly mahirean ka kehna hei k company k janib say jald h game mei 2 new maps shamil kiye jyn gay ya phir marmar map ko nae andaz mei paish kiya jae ga.

Pehli tasweer mei dekha ja skta hei deewaro par hony wali designing, darkht aor meedan bilqul tabdeel hein jabky doosry mei zair zameen hissy mei moujood tasaweer , pinjary aor sony k entean dikhae gai hain.   

kuch dino pehly PUBG k janib say maramaar map k video bh dikhae gai thi jis mei aik na maloom khilari ko jung larty hoi dikhaya giya tha.

Is game 2 teams ka apas mei muqabla hota hei ai khilari say ley k 100 khilarion tq k team hoti hei jo internet k zarea aik dosry say jurti hain.

/

Karachi: pakistan mei sony k qeemat 600 rupees kami k bd 89200 rupees fee tola ho gai.

Tafseelat k mutabiq Aalmi market mei sony k qeemat mei girawat ka rujhan barqarar hei aor Iran Amrica kasheedgi km hony k bd sony aor oil k qeematon mei musalsal kami dekhi ja rae hei.

Bainul aqwami market mei sona sasta hony k baieas pakistan bhar k sarafa markets mei bh sony k daam ghat gae, maqami sarafa markets mei sony k qeemat 600 rupees k kami k bd 89200 rupees fee tola ho gai.

Isi tarha 10 garam sony k qeemat mei 514 rupees k kami waqea hoi aor is girawat k bd 10 garam sona 76474 rupees ka ho giya.

Wazeh rahy k aalmi market mei sona 5 dollar kami  k bd 1546 dollar fee ons ka ho giya.

/

Karachi: wafaqi wazeer aabi wasail faisla wawda nay kha hei k twitter par maryam nawaz k khamoshi sabit kari hei ye buzdil log hein.

Tafseelat k mutabiq samaji rabty k website twitter par wafaqi wazeer faisal wawda nay apny pigham mei kha h k kae hafto pehly h noon leage k rehnumao k asliyat bta d thi.

Faisal wawda nay kha k naam nehad jamhori loag apni chori bachany k lia kuch bh kar skty hain , shayad wo bhol gae ye 2013 hei na is doar k loag majood hein, is wqt wazeer azam imran khan hein.

Wafaqi wazeer nay kha k twitter par maryam nawaz k khamoshi sabit karti hei ye buzdil loag hein, hakumat in logo ko mulk say bhagny nae dey g, in say batean h krwa lo k woat ko izzat do.

Faisal wawda ka kehna tha k ye kiya tareeq hei k ameer qaidi angoor kha ra hei aor gareeb jail mei hei, Imran khan bh wazeh keh chuky hain k ab aise sahoolat nae dyn gay, adalat naam nikalny ka faisla deti hei to is ko challenge karean gay.

Tuesday, 14 January 2020

/

Lahore: punjab k city lahore k koat khawaja saeed hospital mei nu-mulood bachy ko washroom mei marny k koshish hospital amly nay nakaam bna d.

Tafseelat k mutabiq lahore k kot saeed hospital mei no-mulood bachy ko washroom mei marny k koshish hospital k amly nay nakaam bna d, maa k khilaf muqadma darj kar liya giya.

koat khawaja saeed hospital k MS doctor akbar ali nay kaha h k aik larki nay hospital aa k washroom mei bachy ko janam diya, is k kapron ko dekhny k bd jab poch gooch k gai to larki nay washroom mei bachy k peedaish ka bataya.

Doctor Akbar ali k mutabiq hospital ka amla moqa par poncha to washroom k flush k tanki mei bacha para hoa tha.

Unho nay kha k hospital k amly nay bachy aor us k maa ko fori tabbi imdad d aor karwae k lia police ko aagha kiya.

MS hospital k mutabiq bacha seht mand hei aor six khandano nay bacha apnnay k lia rabta kiya hei taham bacha child protection k zarea mozon khandaan k hawaly kiya jae ga.

/

Rawalpindi: Army chief General Qamar javeed Bajwah nay do toak mouqaf ikhtiyar karty hoi kaha hei k qomi salamti aor madre watan k difa par koi samjhota nae kiya jae ga.

Tafseelat k mutabiq pak foaj k department taluq aama ISPR k director General mejor General Asif ghafoor ka kehna hei k army chief k zair sadarat koor kamanders confrence hoi, Ijlaas mei khitty aor mulki security sorat haal ka jaiza liya giya.

DGISPR nay kaha k bharti army chief ka bayan bh zair goar aya, is doran mashriqi wusta k sorat haal bil-makhsoos amrica iran tanazy par baat cheet hoi, baharat ka gair zimadarana biyan khitty k aman aor istehkam par asar andaz ho sakta hei.

Army chief General Qamar javeed bajwa ka kehna tha k khity mei aman istehkaam k lia pakistan nay bahrpoor kirdar ada kiya hei, Qomi salamti aor madr watan k diffa par koi samjhota nae kiya jae ga, mulq ka difa har qeemat par yaqeeni bnae gay.

Wazeh rahy k guzishta hafty army chief say Amrici sectory difa doctor mark aspesor nay telephonic rabta kiya tha jis mei mashriqi wusta k security sorat haal par tabadla kiya giya. Army chief General qamar javeed bajwa ka kehna tha k hm chahty hain k halat mazeed kasheeda na hon, khitty mei aman k lia har qisam k kawish k himayt karean gay.

/

Amrici khatoon nay cancer mei mubtala baap k akhri khuaish hospital mei h shadi kar k h pori kar d beeti k shadi hoty h baap duniya say rukhsat ho giya.

Yaqeenan har baap k khuaish hoti hei k wo apni beti k shadi apni aankho say dekhy aor shadi mei achy say acha intazaam kary, yahi khuaish cancer mei mubtala amrici sheri k thi jisy beti na hospital mei h pora kar diya.

phepron k cancer mei mubtala shaks k beti nay baap k aakhri khuaish pori karny k lia hospital mei h shadi ka faisla kiya aor ICU mei h shadi ka intazam kiya giya.

Baap nay bister murg say h apni beti ko shadi k bndhan mei bandhty dekha aor shadi k bd h duniya say rukhsaat ho giya.

Shelbi aor mangeetr gerad nay sirf 30 minute mei shadi k mansoba bndi k, shelbi nay kaha k ye is k zindagi ka khoobsorat tareen lamha tha lekin walid k beemari k waja say aa na sakty thy is lia shadi ko mukhtasir kar diya.

Cancer say larta baap hospital k intehae nigdehasht  ward mei dakhil tha aor wohi apni beti k zindagi k yaad gar lamho ka aeni shahid bana.

Ghair mulki khabar rasan idary k report k mutabik guzishta mah cancer mei mubtala shaks Esteven nay kaha tha k isy dobara phepron ka cancer ho giya hei.

Beti nay baap k cancer say mutaliq suna to apni shadi hospital mei h karny ka faisla aor ICU mn h apny mangeetr say baap k samny shadi k.

Amrici khatoon ka kehna tha hamri shadi muqaml hoty h walid duniya say rukhsaat ho gae. 

Monday, 13 January 2020

/

Willington: Bety k zindagi bachany k lia samandar mei challang lagany wala baap khud mouat k muh mei chala giya.

Ghair mulki raas idaary k report k mutabiq ye afsos naak waqea New Zealand k capital Willington mei is waqt paish aya jab aik bacha harber port par samndar mei gir giya tha.

Samandr mei girny waly bachy k age to tahal maloom na ho saki tahm bacha zinda hei aor jisy hospital mei tabbi imdaad farahm k ja rae hei.

Bachy k pani mei girty h baap fori toor par samandr mei chalang lagae lekin wo tair na paya aor doob giya tahm larky ko waqea k eaini shahid nay bacha liya.

Ghair mulki khabar rasan idary ka kehna tha k rescue amly nay jae waqua par ponch kar mutasira baap ko rescue aor CPR deny k bd hospital muntaqil kiya tahm wo hospital ponchny k kuch dair bd h halak ho giya.

/

Karachi: Sabiq saddar Pervez Musharraf nay kaha k High court buht acha hei mujhy buht khushi hoi hei,tafseeli faisla any k bd baat karn ga, seht yabi k lia duaen karny par sub ka shukar guzar hon.

Tafseelat k mutabiq Lahore High court k faislay k bd sabiq saddr pervez musharaf nay Daily UNA News say khasoosi guftago karty hoi kaha meri tabbiat behtri k taraf gamzan hei, high court ka faisla buht acha hei mujhy buht khushi hoi hei.

Pervez musharaf ka kehna tha k high court nay Aean aor kanoon k mutabiq faisla diya hei. tafseeli faisla any k bd baat karn ga, seht yabi k lia duain karny par sub ka shukar guzar hon.

Khasoosi adalat nay Aaen shikni case mei sabiq saddr ko saza moat sunae thi, jis k bd pervez musharaf k janib say khasoosi adalat ka faisla challenge kiya tha, darkhwast mei kaha giya tha k article six k teht karwae k lia wafaqi kabeena k manzoori zaroori hei, sabiq wazeer azam nawaz shareef nay exactive ikhtiyarat istamaal karty hoi darkhwast dayar k, is mauamly mei aaeni aoe kanooni taqazy pory nae kiya gay.

Khayal rahy k 17 december ko khasoosi adalat nay aaen shikni case mei mehfooz shidat faisla sunaty hoi sabiq saddr wa sabiq army chief pervez musharaf par aaen k article 6 ko toorny ka jurm sabit hoa hei.

Pervez musharaf nay faisly par amal karty hoi kaha tha k mujhy in logo nay target kiya jo onchy ohdon par faiz aor ikhtyaraat ka galat istamal karty hein, khasoosi adalat k is faisaly ko mashkook smjhta hon aise faislay k misaal nae milti jaha diffa ka moqa nae diya giya, case mei kanoo k bala dasti ka khayal nae rakha giya.

/

Rawalpindi: PAk fouj k department taluq aama(ISPR) ka kehna h k jarmani k forigen office k wazeer mumlikat mister nealz nay GHQ ka dora kiya aor armi cheaf journel qamar javeed bajwa say mulaqat k.

Tafseelat k mutabiq Armi chief General qamar javeed bajwa say jarman wazeer mumliqat nay mulaqat k, is dooran bahimi dilchaspi aor ilaqae security par tabadla khyl kiya giya.

ISPR ka kehna hei k is mulaqat k dooran mukhtalif departments mei bahii tawuun ko barhany par bh baat cheet k gai.
German wazeer mumliqat nay khitty mei Aman istehkaam k lia pakistan k kirdar k tareef k.

Khayal rahy k guzishta saal november mei Army chief general qamar javeed bajwa say Neto k DG laftinent General Haans warner nay mulaqat k thi is doorn bahimi dilchaspi aor ilaqae security soorat haal par guftago hoi.

Pak fouaj ka kehna tha k Neto k DG nay khitty mei Aman k lia pak fouaj k kiradr k tareef k, aor pakistan k eskari taqat ko bh saraha, mulaat mei bahimi dilchaspi k amoor par ehm guftago hoi.

/

Lahore: British High Commissioner doctor Christian turner nay shahi jory k shandar mehmaan par wazeer aala punjab usman buzdar say izhar tashkur karty hoi malka bartania k birthday k taqreeb mn shirkat k dawat dey d.

Tafseelat k mutabiq wazeer aala punjab usman buzdar say british high commissioner doctor Christian turner k mulaqat hoi, mulaqat mei wazeer aala punjab nay pakistan mein zimadariyan smbhalny par doctor Christian ko mubarakbad d aor naik khuaishat ka izhaar kiya.

Mulaqaat mei bahimi dilchaspi k amoor, 2 tarfa taluqaat k faroog par tabadla khyal kiya giya aor taleem, sehat, siyaht k departments mei tavoun ko faroog deny par itafaaq hoa. Christan turner nay shahi jory k shandaar mehmaan nawazi par usman buzdaar say izhaar tashkur kiya.

Wazeer aala punjab nay kaha Pakistan aor Bartania taraaqi aor khushali k safat mei ehm partner hai, samaji departments mei behtri k lia Bartanwi taawun k qadar karty hain, punjab mei 10 spacial iknamik zones banae ja rhy hn.

Is moqa par bartanvi high commissioner  doctor christian turner nay wazeer aala punjab ko malka bartania k birhday k taqreeb mei shirkat k dawat dety hoi kaha pehli baar lahore aya hn beshaq Lahore aik behtreen city hei, Khuaish rakhta hon England k crickrt team jald pakistan ka dora kary.

Inho nay kaha punjab mei special iknamik zones ka qayam zabardast mansooba hei, special iknamik zones mei tawuun ko faroog deny ka jaiza lain gay aor siyahat mei punjab hakumat k maddad karean gay jabka punjab hakumat k sath samaji departments k behtri k lia tawuun jari rakhean gay.

Sunday, 12 January 2020

/

Quetta(Daily UNA News) Quetta k ilaqy setlite town k masjid mei dhamaky k nateejy mein DSP shaheed k sath 13 afrad shaheed jabka 18 zakhmi ho gae. Dhamaka k muqaam par rescue teams ponch gae.

Zarae k mutabiq Quetta k ilaqy setlite town k masjid mei hony waly dhamaky mei DSP Amanullah k sath 13 afrad shaheed jabky 18 zakhmi hoi.

Dhamaky k itla milty h rescue teams moqa par ponch gae aor bodies aor zakhmio ko qareebi hospital mei muntaqil kiya. Qanoon nafiz karny waly idaro nay ilaqy ko gheary mei ley lia.

Is say qabal mangal k roaz Quetta h mei mecangi road par hospital k qareeb dhamaka hoa tha jis mei 2 afrad jaan bahak jabky 14 zakhmi hoi thy.

/

Islamabad(Daily UNA News) money landring case mein adakar Sofia Mirza ko kaleen chitt mil gae. FIA nay case dakhil daftar kar diya.

Ilaqae Bilal k darkhast par sofia mira k khilaf 4 mah qabal tehqeeqat ka agaz kiya giya tha. Ilaqae Bilal nay ilzam aaied kiya k sofia mirza lakhoon rupees beeroni mulq muntaqil kar chuki hei.

FIA nay deputy director Mawraan khan k sarbrahi mei qameeti tashkeel d thi. FIA nay adakara ko clear karny k bd inquary ko dakhil daftr karny ka notification jari kar diya.

Adakara k khilaf money landring k inquary ko dakhil daftar karny ka marasla Daily UNA News nay hasil kar liya.

/

Islamabad(Daily UNA News) Petroleum masnoyaat aor gass k qeemton mei izafa kar diya giya. Petroleum masnoyaat k qeemton mein 3 rupees 10 paisy fee litter taq ka izafa kiya giya.

Petrol 2 rupees 61 pais, High speed deezal 2 rupees 25 paisy fee litter mehnga, mati ka tail 3 rupees 10 pasiy , light dezal 2 rupees 8 paisy feee litter mehnga ho giya.

Saturday, 11 January 2020

/

AhmedPur East (DailyUna News): AhmedPur East Bar Election 2020 mn Mr. Mujeeb-ur-Rehman Sb Journal Secretory aur Dewan Syed Abdul Rasheed Bukhari Sb Sadar Bar Association Muntakhib huay. 

Dewan Sb aur Mujeeb-ur-Rehman Sb k Chahnay walay un k Supporter mn khushi ka Sama hai. Is Jeet pr Ahmedpur k Naamwar aur Muaziz Shakhsiat nay Mubarak bad Paish ki han. 

Aur in Mubarakbad ka Silsala Bagair kisi Rukawat k chal raha hai. 

Friday, 10 January 2020

/

Lahore(Daily UNA News): Punjab k contract mulazmean  k liye achi khabr aa gae, hakumat nay contract mulazmean ko mutaqil karny ka faisla kar liya.

Punjab hakumat k faisla say 3 saal ka contract muqaml karny waly mulazmean mustafeed ho gae.

Mehkma khizana punjab k janib say tamam mehkamo ko fehrstean jald bhyjwany k hidayat kar d gai.

/

Bahawalpur (Daily UNA News): Bahawalpur mei students mei Hepatitis C ka marz phailny laga, Islamaia univercity k 120 say ziada students mei viruse k tashkees ho gai.

Doctor Aurangzaib ka kehna hei k students k sath sath staff k members k screening ka amal jari hei, namoony mazeed tehqeeq k lia lahore bhyjy jyn gay. Hepatitis k tashkees hony waly students aor staff ka ilaaj kiya jae ga.

Inho nay mazeed bataya k ab tq 8 hazar students k blood k sample lia ja chuky hain. Hepatitis free muhhm k teht taqreebn 30000 students aor afsaraan k screening k jae g. Muhm punjab k dosry taleemi idaron mein bh chalae jae g.

/

Riyaz: Saudi arab mein pehli baar mukhtalif shahro mei khawateen cycling race series ka ineqaad kiya giya.

tafseelat k mutabiq saudi sports k janib say mulqi tareekh mei pehli baar khawateen cycling race series ka ineqaad kiya giya. ye race k series saudi ilaqy jaddah, riyaz mei munaqid k gai jis mei 1 hazar khawateen cycliest nay hissa liya.

Ghair mulqi khabar rasan k mutabiq saudi cycling federation k tawaun say SFA nay ye race munaqid k jis ka maqsad mumliqat mei cycling k khail ko faroog dena hei. Cycling race 3 marahil par mushatamil thi jis k fateh nadia shokade qarar pae.

Khail mei pehly marhly mei bh nadia shoqade nay apni bharpoor salihton ka muzahira kiya aor pehly number par rahi, jabka faloria mareeta doosri aor elhm zaid nay teesri position hasil k. Race k doosry marahil ka khail bh umdda raha, faloriya mareeta nay pehli posotion hasil k.

Series ka final aor ikhtatami marhla Alkhoobr mei hoa jaha nadia nay hareef ko peachy chor diya aor tareekh fateh bh apny naam kar li. Is series k bd khawateen mei cycling ka khail faroog pa raha hei.

/

Washington : Amrica nay Iran ko muzakarat k paishkash kar d, Amrica ka kehna hei k Amrica sajeeda muzakarat ko tayar hei, muzakarat k paishkash ka maqsad Almi aman kharab na hony dena hei.

Tafseelat k mutabiq Amrica nay Iran k sath barhti hoi kasheedgi ko km karny k lia gair mashroot muzakarat par Aamadgi  zahir kar d, Aqwam mutahida mei Amrici mandoob keeli karaft k janib say salamti council ko likhy gae khaat mn kha giya k Amrica  Iran say sanjeeda muzaqraat ko tayar hei, Qasim sulemani k qatal k karwae apny difa mei k, muzakirat k paishkash ka maqsaad Aalmi aman kharab na hony dena hei.

Khaat mei kha giya mashriqi wasta mei apny ehl-karon, mafadaat k mazeed iqdamat karean gay, agar mustaqbil mn zaroorat pari to Amrici foji aor Assaso k hifazat k lia mazeed karwae bh k jae g.

Dosri janib Iran ki janib say bh aqwam mutahida ko khat likha giya, jis mei Iran nay Amrici Adday par hamlay k lia aqwam mutahida k shaq 51 ka hawala diya, Amrica nay bh shaq 51 ka hawala diya tha.

Aqwam mutahida mn Irani safeer majid rawanchi nay khat mei kaha k Iran kasheedgi chahta hei na jung, operation ehtiyaat say kiya giya, sirf Amrici foji mafadaat ko nishana bnaya giya.

Search This Blog

Powered by Blogger.

Popular Posts

BTemplates.com